Wednesday, August 15, 2007

Message to Young Indians in India

Message by my close buddy, Sonu Arora to the Youth of India on eve of Independence Day.


aj phir humara swantrata diwas hain.
aaj bhi apne is desh mein kitne hee aise log hoge, jinke liye yeh din , bus ek aur chutti jaisa hoga .
aaj phir ,sarkaari daftaro ki diwaro per latki huyi , shaheedo ki tasveero per se dhul jhaadi jayegi .
aaj phir ,alag-alag t.v channel wale ,radio wale , deshbhakti ke naam per apni-apni rotiya sekhege .
aaj phir ,kayi ministers ke writers ,ko aisi speech taiyyar karne ke liye kaha jayega ,jisey sunaaker woh logo ki deshbhakti ki bhawna ki saath aasani se khilwaadh kar sake .
kitne hi navjawaan apne-apne tarike se , jaise apni-apni motor-cycles,cars per is aazadi ki khushi ko prakat karege.
hmmm :)
yeh navjawaan ,aaj phir desh bhakti ke geet sunker aaj khud ko josh se labaa-lab bhar dege ..magar .....................................................................................................................................
yeh josh bilkul us murgi ki tarah hoga joh kuch feet hawa mein uddhker baitth jaati hain.
pata nahi aisa kitne hi baar hua hain ki , koyi jawaan apne is desh ke liye kuch karne ko josh mein aa toh jata hain
per baar-baar ubaale gaye pani ki tarah bhaap bunker is josh hawa mein kayi kho deta hain .
aao , hum sabhi is aazadi ke pavitra awsar per yeh kasam khaaye ki ,hum desh ke liye kuch karne ko ,humme paida huye is jazbe ko kabhi bhi marne nahi dege
aur apne is jeevan mein apne is aazad desh ki neev jisey mazboot banane ke liye kitne hi logo ne apna khun bahaya hain ,usey kabhi ladhkhadae nahi dege.
itihaas gawah hain ,humare desh ko aazad karane ke liye najaane kitne hi log shaeed huye .yeh aazadi toh humney baahari mulk se haasil ki thi ,
per lagta hain ki hum aaj bhi dhire-dhire ghulaam bante jaa rahe hain aur woh bhi aur kisi se nahi , balki apne hi desh ke kuch logo se (ministers ).
yeh mutthi bhar log purey desh ke liye faisle lete hain .
yeh faisle sirf ek hi chiz soch ker lete ki ,unke is faisle se agle election mein unki kursi surakshit bach jaaye .
yaha hum sabh ko jaagne ki zaroorat hain .
aaj agar dekha jaye toh humarey desh ki aadhey se zyaada public joh vote deti hain ,woh ya toh anpadh hoti hain ya kharidi gayi hoti hain ya jaat-paath ,aarakshit (reservations) sahuliyat paanewali hoti hain .
aao hum sabh aaj ek aur kasam khaaye ki hum kum-se kum 2-5 aise log joh vote nahi daalne jaate unhe apne saath , sahi candidate ko vote dalwaane le jaye.
bus anth mein yeh kahuga agar aaj ka yeh din celebrate karna hai toh , bus
IS AAZADI KE LIYE CHUKAAYI GAYI KEEMAT KO JAANKER .
JAI-HIND
sonu:

1 comment:

Harish Narang said...

kya baat hai "Saale ji"
inna gehra kab se sochna start kar ditta hai?????????
with due respect to your blog.
Jai-hind.
-Harish