-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
is desh se bichdey huye dosto ,bhaiyo aur behano ...
agar aap ko yaad hoga toh aaj humara swantrata diwas ..oops ..independence day
aaj yeh bharat mata aapse kuch kehna chahti hain..
'' yeh jhokha ,hawa ka desh se tere
aaj ik sandesh laaya hain
kabh se dekh rahi hain teri raah,
chal...maa ne tujhe bulaya hain.
1. manaa rahi hain aazadi ka jashn ,.
maa pyar se tere aaj bhi,
apne parivaar se bichddhey bachho ka
is maa ko intezaar hain aaj bhi ,
bhul naa jaana bete tujhko,
isi maa ne dhudh pilaya hain
kabh se dekh rahi hain teri raah
chal ..maa ne tujhe bulaya hain
2.
dekh ke tere maa ki kamzori,
hustey hain padosi sabhi,
kehte hain , rahega sadha andhera yaha
roshni yaha ki kyuki, kahi aur hain jal rahi
umeed hain aaj bhi is maa ki aakho mein
jisey tumne rulaaya hain
kabh se dekh rahi hain teri raah
chal ..maa ne tujhe bulaya hain
3.
socha tuney kabhi yeh ki
sabh hain phir bhi mann udaas kyu hain ?
samander mein tair raha hain
per phir bhi ajeeb si aisi pyas kyu hain ?
pooch bete khud se yeh ,kyuki
aise sawalo ne aksar ,soya zameer jagaaya hain
kabh se dekh rahi hain teri raah
chal ..maa ne tujhe bulaya hain
'' yeh jhokha ,hawa ka desh se tere
aaj ik sandesh laaya hain
kabh se dekh rahi hain teri raah,
chal...maa ne tujhe bulaya hain.
tujhe bulaya hain...
tujhe bulaya hain
JAI HIND
1 comment:
Sonu forever :)
Well written my friend
Post a Comment